Om Jai Jagadish Hare Swaami Jai Jagadish Hare ।
Bhakt Jano Ke Sankat, Kshan Me Dur Kare ॥
Om Jai Jagadish Hare ॥
Jo Dhyaave Phal Paave, Duhkh-Bin Se Man Kaa ।
Sukh Sampati Ghar Aave, Kasht mite tan kaa ॥
Om Jai Jagadish Hare ॥
Maat Pitaa Tum Mere, Sharan Gahu mai Kiski ।
Tum Bin Aur Na Dujaa, Aas Karuu Mai Jiski ॥
Om Jai Jagadish Hare ॥
Tum Puran Paramaatmaa, Tum Antarayaamii ।
Par-brahma Parameshwar, Tum Sab Ke Swaami ॥
Om Jai Jagadish Hare ॥
Tum Karunnaa Ke Saagar, Tum Paalan-Kartaa ।
Mai Murakh Phal-Kami, Kripaa Karo Bhartaa ॥
Om Jai Jagadish Hare ॥
Tum Ho Ek Agochar, Sabke Praan-Pati ।
Kis Vidhi Milu Dayamay, Tumko Mai Kumati ॥
Om Jai Jagadish Hare ॥
Din-Bandhu Dukh-Hartaa, Tum Thaakur Mere ।
Apne Haath Utthaao, Dwaar Padaa Tere ॥
Om Jai Jagadish Hare ॥
Vissay-Vikaar Mittaao, Paap Haro Devaa ।
Shraddhaa Bhakti Badhaao, Santan Kii Sevaa ॥
Om Jai Jagadish Hare ॥
Tan man dhan aur sampati sab kuch hai tera |
Tera tujh ko arpan Kya laage mera ||
Om Jai Jagadish Hare ॥
Shri Jagdish ji ki Aarti Jo Koi Nar Gaave
Kahat Shivanand Swami Sukh Sampatti Paave
Om Jai Jagadish Hare ॥