Mangal Ki Seva Sun Meri Deva, Hath Jod Tere Dwar Khade.
Pan Supari Dhwaja Nariyal, Le Jwala Teri Bhent Kare.
Sun Jagdambe Kar Na Vilambe, Santan Ke Bhandar Bhare.
Santaan Pratipali Sada Khushahali, Jai Kali Kalyan Kare.
Buddhi Vidhata Tu Jagmata, Mera Karaj Siddha Kare.
Charan Kamal Ka Liya Aasra, Sharan Tumhari Aan Pade.
Jab Jab Bheer Padi Bhaktan Par, Tab Tab Aay Sahaay Kare.
Baar baar Tai Sab Jag Mohayo, Taruni Roop Anoop Dhare.
Mata Hokar Putra Khilave, Kahi Bharya Bhog Kare.
Santan Sukhdayi ,Sada Sahai, Sant Khade Jaikar Kare.
Bramha ,Vishnu, Mahesh Phal Liye, Bhent Dene Sab Dwar Khade
Atal Sinhasan Baithi Mata, Sir Sone Ka Chhatra Dhare
Var Sanichar Kumkum Varni, Jab Lukund Par Hukm Kare
Khadag Khapar Trishul Haath Liye , Raktabeej Ko Bhasm Kare
Sumbh Nishumbh Ko Chhan Hi Me Mare , Mahisasur Ko Pakad Dhare
Aadit Vaari Aadi Bhawani, Jan Apane Ka Kasht Hare
Kupit Hokar Danav Mare, Chand Mund Sab Choor Kare
Jab Tum Dekhi Daya Roop Ho, Pal Me Sankat Door Kare
Saumya Swabhav Dharayo Meri Maata, Jan Ki Arj Kabool Kare
Saat Bar Ki Mahima Varni , Sab Gun Kaun Bakhaan Kare
Singh Peeth Par Chadi Bhawani, Atal Bhawan Me Raj Kare
Darshan Pawe Mangal Gave, Shiddh Shadhak Teri Bhent Dhare
Bramha Ved Padhe Tere Dware , Shiv Shankar Hari Dhyan Kare
Indra Krishna Teri Kare Aarti , Chavaran Kuber Dulay Rahe
Jai Janni Jai Matu Bhawani, Atal Bhawan Me Raj Kare
Santan Pratipali Sada Khushahali , Maiya Jai Kali Kalyan Kare
ą„„ Iti Shree Mahakali Aaratią„„